Aug 5, 2021

Mujhe baadal banna hai,
Mujhe milo chalna hai,
Mujhe dhori se na durr hoke uncha udna hai,
Mujhe bijli ke saath chamakna hai,
Mujhe hawa ke saath behna hai,
Mujhe pankh sa halka hokar tehelna hai,
Mujhe pani bann barasna hai,
Mujhe dhoop se chupp jana hai,
Mujhe samay ke bahaav ko jann na hai,
Mujhe samay aane par wapas sagar me mil jana hai,
Mujhe firse udd asmaan ko aana hai,
Mujhe baadal bann jana hai.☁️